Sunday, March 25, 2012

Hamd Recitation by Pir Zulfiqar Ahmed (DB)

Hamd of Allah(SWT) recited by Pir Zulfiqar Ahmed Sahab Naqshbandi  (DB).
The words are by Pir Nasiruddin Nasir (RA) of Golra.
Pir Zulfiqar Ahmed Sahab Naqshbandi (DB) used this Hamd for Muraaqbah after his Sermon at Dar-ul-Uloom Waqf during his last visit to India.

Kis se maangein, kahan jayein, kis se kahein?
(Whom to beg? Where to go? Whom to urge?)
Aur duniya mein haajat rawaa kaun hai?
(Who else is the provider of needs in the world?)

Sab ka data hai tu, sab ko deta hai yu
(You are the giver to all, you give to all)
Tere bando ka tere siwa kaun hai?
(Who is for your servants except for you?)

Kaun maqbool hain, kaun mardood hai
(Who is approved, who is rejected?)
Bekhabar kya kahabar tujh to kya kaun hai
(O the ill informed what you know of the others?)

Jab tuleinge amal sab ke meezaan par
(When every one's deed are weight on the balance)
Tab khulehga ki khota khara kain hai
(Then the fakes and genuine will be disclosed)

Kaun sunta hai faryaad mazloom ki
 (Who hears the cry of the wronged ones?)
Kis ke hathon mein kunji hai maqsoom ki
(Who has the key to the objective?)

Rizq par jis ke palte hain shaah-o-gada
(On whose sustenance survive the king and the popper?)
Tujh Ahad ke siwa doosra kaun hai
(Who else but You Alone?)

Auliya tere muhtaaj aey Rabb-e-kul
(Pious completely depend on you O Lord of all)
Tere bande hain sab anbiya aur rusul
(All the Prophets and Messengers are your slaves)

Unki izzat ka baa-is hai nisbat teri
(The derive their honour from your connection)
Unki pehchaan tere siwa kaun hai
(What else is their identity except it?)

Anbiya auliya ahl-e-bayt-e-nabi
(Prophets, Pious and people of the house of Prophet(PBUH))
Tabayeen - o- Sahaba pe jab aa bani
(The Followers and Companions - when they were in trouble)

Gir ke sajde mein sab ne yahi arz ki
 (Falling into prostration - all urged)
Tu nahi hai to mushkil kusha kain hai?
(Who else is elevator of problems if not you?)

Mera maalik meri sun raha hai fughaan
(My Lord is listening to my cry)
Jaanta hai woh khamoshiyon ki zubaan
(He knows the language of silence)

Ab meri raah mein koi hayil na ho
(Let none hinder my path now)
Namwar kya bala hai saba kaun hai
(Influential people? Wind, as a messenger, I need not)

Ahl-e-fikr-o-nazar jaante hain tujhe
(People of thought and perception know you)
Kuchh na hone pe bhi maante hain tujhe
(They accept you without seeing)

Aey Naseer is ko tu fazl-e-baari samajh
(O Naseer think of it as a Grace of Most High)
Warna teri taraf dekhta kaun hai
(Otherwise who pays any attention to you)