Friday, April 17, 2020

Urdu - 3

A short video with Dr Ahmed Mujtaba Siddiqui

Q: Sir Syed ki kya ma'anviyat hai aur Sir Syed ki zaat ki aaj ke daur mein kya ahamiyat hai?

A: Mein samajhta hoon ke kuchh shakhsiyatein, jin mein se Sir Syed ek hai, sau, do sau aur teen so saal mein hee wadiyat hoti hain jin ke naseeb mein koi tajdeedi karnama likha hota hai. Uhke hawale se ye tajdeedi karnama likha tha ki barr-e-sagheer Hindustan ke musalmanon ke ta'aleemi ma'iyar ko nikharne mein, usko saiqal karne mein, mustaqbil ko roshan karne mein ek kaleedi kirdar ada karein.