Friday, March 20, 2020

Urdu - 2

Hamare mehmanan tashreef la rahe hain bharpoor taliyon ke sath istaqbal kijiye.

Urdu zaban-oadab, Urdu shayari ki abru Janab Gulzar Sahab aur Dr Sukrita Paul Sahiba ko bharpoor taliyon ke sath  khushamadeed kehte huway.

Is stage ke waqar ko, iske iftikhar ko dobala kar diya.

Khawateen-e-hazrat Urdu zaban aur Gulzar Sahab ko ek doosre se alag karke dekhna namumkin hai.

Urdu zaban-o-adab ne Hindi cinema aur Urdu Shayari se wabasta Gulzar Sahab ko auj-e-kamal tak pahunchaya. Aur khud Gulzar Sahab ki badaulat Urdu zaban wahan tak pahunchi jahan tak pahunchna kisi khwab se kam na tha.

Ji han hamari murad Gulzar Sahab ke naghme Jai Ho se hai jis ke liye Oscar Award apke nam se mautbar huwa.

Gulzar Sahab afsana nigar hain, film director hain, script writer hain, muqalma navees hain aur apne adab-e-atfal ya'ani bachchon ke adab par kafi kam kiya hai. Aala paye ke mutarjim hain.

Sahiya academy award, Filmfare award, national film award, Padam Bhusan se lekar Oscar tak sab apke nam se mautbar ho chuke hain.

Apke bare mein jo kuchh kaha jaye woh kam hai. Bahut kuchh kehne ki to is zaban ko taqat nahin hai, yara nahin hai magar sirf itna keh sakte hai ki:

Hum ne ik umr mein kya kya na jahan dekhe hain...

Kisi shayar ne aisee hee kisi hasti ke bare mein apne jazbat in alfaz mein qalamband kiye hain ki:


Hum ne ik umr mein kya kya na jahan dekhe hain...
AsmaN dekhe hai aur kar-e-nihaN dekhe hain




Dil ne har zarre ke hamrah dhadakna seekha
Tab nawaoon mein ye mana ke jahan dekhe hain


Ek bar phir Gulzar Sahab ko bharpoor taliyon ke sath khush amadeed kehte hain.




Aur Gulzar sahab ke sath is guftgu mein shamil hain, bahut badi sa'adat hai jo ki Dr Sukrita Paul ke hisse mein aa rahi hai. Humko achchhi tarah yad hai ki guzishta Jashn-e-Rekhta mein ye Javed Sahab se hum kalam thein aur is bar Dr Sukrita Paul sahiba Gulzar sahab ke sath shareek-e-gyftgu hongi.



Ma'aroof adeeba hain, scholar hain, critique hain, hassas shayra hain, ilmi aur adabi zauq apko apne walid se wirse mein mila hai, jise apne apni takhliqi salahiyaton se mazeed jila bakhshi hai.


Women's study ke alawa tarjumanigari mein bhi maharat hasil hai aur hindustan ki sakhafati rangarangi aur adabi pairaye ko apne badi khoobsoorati ke sath qalam band kiya hai.

Humare in donon mehmanon ko khishamadeed kehte huway hum guftgu ke agaz ke liye guzarish kerte hain.

Apni khoobsoorat guftagi ka agaz karein.