Friday, August 28, 2015

Great Urdu Oratory

When good speakers deliver in Urdu the effect is other worldly.

I shall collect some of that in this post.

Example One : A colleague

Hazrat-e-girami mein guzarish karta hoon ke is mehfil ko zindagi dene ke liye shuara ke kalam par dad-o-tehseen se nawazein.

Example Two : Dileep Kumar

Janab-e-sadr sahab, mu-azziz shoara-e-karam, mere aziz aur mohtaram bhai kunwar mahendra singh bedi, aaj ki taqreeb ke digar mu-azziz mehman, bahi-o aur behno,

Kaifiyat taqreeban aisee hai ki

Sukoon-e-dil ke liye kuchh to ahtimam karoon
Zara nazar jo mile phir unhein salam karoon

Mujhe to hosh nahin aap mashwira dijiye
Kahan se chhedoon fasana kahan tamam karoon

Aj ki is shab ke liye jahan tak mera ta-alluq hai bahut si yadein bahut se saal bahut si taqreebein, bahut kuchh wabasta hai. sab se pehle to mein apni jo association hai Karachi students ki unko mubarakbat doonga ki un hon ne, sanglakh to keh nahin sakte lekin phisalti zameen mein jo dagh boote jo hain, ye lagaye aur is ki shadabi aur mahak jo hai woh masha allah door door takphail gayee hai. Bambai ki hawa main bhi kabhi yahan ki mehfilon ki mahak mehsoos huyee. Aur us ke liye mein ma-azrat khwah hoon ki mein is platform par pehle hazir na ho saka. Us ke liye meine saleem bhai se ma-afi bhi mangi hai. Hamare samne khumar sahab baithe huway hain unse bhi ma-afi ka talabgar hoon mein. Ab to qibla ye dekhiye ye public ma-azrat hai. Allah inko salamat rak-khe aur inke iradon ko aur farogh de aur inko apne maqasid mein surkh roo aur kaamyab kare ki itni khoobsoorat mehfil is khoobsoorat zaban ki saji hain. Hum aur aap yahan kisi ke liye, ya-ani ek doosre ki bat sun ne ke liye nahin aye balki sher-o-adab, naghm-o-sukhan ki chashni aur husn jo urdu zaban mein jazb hai us ke liye hum sab yahan par aye hain.

Diqqat ka daur raha, mushkil ka daur raha.Ek waqt tha ki hindustan mein urdu zaban taqreeban yateem ho chali thi magar mein apna ye akhlaqi farz samajhta hoon ki do shakhsiatein numayan thin ki hindustan ke mukhtalif kaunon mein diqqat talab aur sabrazma halat mein bhi is zaban ke husn ko mushayron ke zariye barkarar rakha hai. Ye munis-o-ghamkhwar, wo muawin hamari Urdu zaban ke jahan V Shankar Sahab bhi the aur Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar bhi - Allah inko salamat rakhe.